bahut bar-e-garan ye zindagi malum hoti hai
ki gham ka pesh-KHema har KHushi malum hoti hai
kisi se sarguzisht-e-gham bayan karta hun jab apni
kahani wo sarasar aap ki malum hoti hai
hai mahrumi si mahrumi to majburi si majburi
ki har saat musibat mein ghiri malum hoti hai
chala hun jis pe ek muddat raha hun aashna jis se
wo manzil, rahguzar ab ajnabi malum hoti hai
kahan jaun main ai 'KHushtar' kahun rudad bhi kis se
ki jis ko dekhiye jaan par bani malum hoti hai
Ghazal
Bahut bar-e-garan ye zindagi malum hoti hai
Mansoor Khushtar