اردو हिंदी
Bahut aziz tha aalam wo dil-figari ka | Shaahi Shayari
bahut aziz tha aalam wo dil-figari ka

Ghazal

Bahut aziz tha aalam wo dil-figari ka

Aazim Kohli

;

bahut aziz tha aalam wo dil-figari ka
sukun ne chhin liya lutf be-qarari ka

hamein bhi KHu thi zamanon se dil jalane ki
unhen bhi shauq purana tha shola-bari ka

dilon mein un ke raha iztirab roz-o-shab
wo jin ke sar pe raha bojh taj-dari ka

wo jate jate mujhe apne gham bhi saunp gaya
ajib Dhang nikala hai gham-gusari ka

kaha tha tum se ai 'azim' sambhal sambhal ke chalo
bharam na rakkha magar tum ne parda-dari ka