اردو हिंदी
Bahut arsa gunahgaron mein paighambar nahin rahte | Shaahi Shayari
bahut arsa gunahgaron mein paighambar nahin rahte

Ghazal

Bahut arsa gunahgaron mein paighambar nahin rahte

Naz Naz Khialvi

;

bahut arsa gunahgaron mein paighambar nahin rahte
ki sang-o-KHisht ki basti mein shishagar nahin rahte

adhuri har kahani hai yahan zauq-e-tamasha ki
kabhi nazren nahin rahtin kabhi manzar nahin rahte

bahut mahngi paDegi pasbani tum ko ghairat ki
jo dastaren bacha lete hain un ke sar nahin rahte

mujhe nadim kiya kal raat darwaze ne ye kah kar
sharif insan ghar se der tak bahar nahin rahte

KHud-agahi ki manzil umr-bhar un ko nahin milti
jo kucha-gard apni zat ke andar nahin rahte

paTaKH deta hai sahil par samundar murda jismon ko
ziyaada der tak andar ke khoT andar nahin rahte

baja hai zoam suraj ko bhi naz apni tamazat par
hamare shahr mein bhi mom ke paikar nahin rahte