bahut ajib hai tamir koi ghar karna
ram-e-ghazal ko mahdud-e-baam-o-dar karna
numu ka zor tha KHushbu faza mein lahrai
yahi to hai qafas-e-rang mein basar karna
qarar maut hai manzil-pazir qadmon ki
musafiron ko phir aamada-e-safar karna
zamana yaad se teri lipaT ke roega
mushahida tu ai uftada-e-nazar karna
main jis se kaT ke juda ho gaya tanawar tha
hai us ke nam raqam saya-e-shajar karna
baid kya hai ki jugnu se chand Dhal jae
zara si aanch ko is tarah shoala-war karna
kabhi latif badan par shikan bhi phabti hai
kabhi ye pairahan aaluda lams-bhar karna
Ghazal
Bahut ajib hai tamir koi ghar karna
syed raza