bahte pani mein jo surat Thahre
mere hone ki zamanat Thahre
us ke jalwe se mili hain nazren
ab kahan par meri qismat Thahre
KHud ko aaina-sifat dekhta hun
mujh mein kuchh der to qudrat Thahre
tez-raftari-e-duniya kya hai
main bhi sochun jo ye haalat Thahre
koi to kar-e-jahan ham-nafaso
jo mere waqt ki qimat Thahre

Ghazal
Bahte pani mein jo surat Thahre
Ishaq Athar Siddiqui