bahte pani ki tarah mauj-e-sada ki surat
su-e-manzil hain rawan log hawa ki surat
jada-e-zist pe insan ke aage pichhe
hadse ghumte rahte hain qaza ki surat
dard ko dil ke miTane ke liye main ab to
roz leta hun tera nam dawa ki surat
yaad rakh dahr ki diwar ke haTne par hi
dekh sakti hai koi aankh KHuda ki surat
hashr ke roz se pahle bhi to main dawar-e-hashr
zindagi kaT ke aaya hun saza ki surat
khoj is daur-e-KHarabi mein koi KHubi 'soz'
nasl-e-adam ke liye koi baqa ki surat

Ghazal
Bahte pani ki tarah mauj-e-sada ki surat
Soz Najeebabadi