bahte dariyaon mein pani ki kami dekhna hai
umr bhar mujh ko yahi tishna-labi dekhna hai
ranj dil ko hai ki ji bhar ke nahin dekha tujhe
KHauf is ka tha jo aainda kabhi dekhna hai
shab ki tariki dar-e-KHwab hamesha ko band
chand din baad to duniya mein yahi dekhna hai
KHun ke qatron ne tufan uTha rakkha hai
ab rag-o-pai mein mujhe barf jami dekhna hai
kis tarah rengne lagte hain ye chalte hue log
yaro kal dekhoge ya aaj abhi dekhna hai

Ghazal
Bahte dariyaon mein pani ki kami dekhna hai
Shahryar