bahta hai koi gham ka samundar mere andar
chalte hain teri yaad ke KHanjar mere andar
kohram macha rahta hai aksar mere andar
chalti hai tere nam ki sarsar mere andar
gumnam si ek jhil hun KHamosh faramosh
mat phenk are yaad ke kankar mere andar
jannat se nikala hua aadam hun main aadam
baqi wahi laghzish ka hai unsur mere andar
kahte hain jise sham-e-firaq ahl-e-mohabbat
Thahra hai isi sham ka manzar mere andar
aaya tha koi shahr-e-mohabbat se sitamgar
phir lauT gaya aag jala kar mere andar
ehsas ka banda hun main iKHlas ka shaida
hargiz nahin hirs-o-hawas zar mere andar
kaise bhi hon haalat nimaT leta hun hans kar
sangin nataej ka nahin Dar mere andar
main pure dil-o-jaan se ho jata hun us ka
kar leta hai jab shaKHs koi ghar mere andar
main kya hun meri hasti hai majmua-e-azdad
tartib mein hai kaun sa jauhar mere andar
kuDhta hai kabhi dil kabhi ruk jati hain sansen
har waqt bapa rahta hai mahshar mere andar
ham-shakl mera kaun hai ham-zad-o-hamraaz
rahta hai koi mujh sa hi paikar mere andar
jab jab koi uftad paDi khul gaya 'kashir'
ilham ka ek aur naya dar mere andar
Ghazal
Bahta hai koi gham ka samundar mere andar
Shozeb Kashir