اردو हिंदी
Bahs uski meri waqt-e-mulaqat baDh gai | Shaahi Shayari
bahs uski meri waqt-e-mulaqat baDh gai

Ghazal

Bahs uski meri waqt-e-mulaqat baDh gai

Mushafi Ghulam Hamdani

;

bahs us ki meri waqt-e-mulaqat baDh gai
baaten huin kuchh aisi ki bas baat baDh gai

bola na murgh-e-subh na aai sada-e-ah
ya-rab shab-e-firaq ki kya raat baDh gai

islah bhi zaruri hai ab is ki shaiKH-ji
daDhi tumhaari qibla-e-hajat baDh gai

pahunche tha apna dast-e-hawas jis pe gah gah
wo shaKH-e-mewa-dar bhi haihat baDh gai

shimla rakha jo dosh pe langur ki si dum
kya is mein shaiKH-ji ki karamat baDh gai

jis din se un pe parda-e-poshidgi paDa
us din se qadr-e-alam-e-jinnat baDh gai

din galiyan jo tu ne sanam ek gharib ko
kya galiyan diye se teri zat baDh gai

de 'mushafi' ko neamat-o-daulat tu ai karim
ta sab kahen ki us ki ab auqat baDh gai