'bahri' pacchane nin use gul ke so wo dam-saz the
chanchal chhabile chulbule maghrur sahab-naz the
nin KHub dekhe tum use wo aashiqon ka taKHt tha
misl-à¤-sulaiman bar-hawa dar-nim-shab parwaz the
kya parsa ka pairahan aur tujh gada ki gudaDi
mil ke so apne panw tal jismaniyan sun paz the
tammul ke tum ko dur se jo bhul gae apna pisar
wo gosh-o-abru khinch kar mizhgan tir-andaz the
nadir 'alimullah' kaha ye sher 'bahri' ka jawab
ushshaq dilbar sun sada KHud hamdam-o-hamraaz the
Ghazal
Bahri pacchane nin use gul ke so wo dam-saz the
Alimullah