اردو हिंदी
Bahr-e-hasti se bhi ji ghabra gaya | Shaahi Shayari
bahr-e-hasti se bhi ji ghabra gaya

Ghazal

Bahr-e-hasti se bhi ji ghabra gaya

Mohammad Usmaan Arif

;

bahr-e-hasti se bhi ji ghabra gaya
bekasi bas ab kinara aa gaya

kam hua karte hain aaise KHush-nasib
tujh pe mar kar jin ko jina aa gaya

mera miT jaana tamasha tha koi
aap se ye kis tarah dekha gaya

dukh bhare dil ki kahani kuchh na puchh
phul ke hansne pe rona aa gaya

subh karna sham-e-gham ka al-aman
shama ko danton pasina aa gaya

KHush raho tum chal basa bimar-e-gham
umr bhar ki uljhanen suljha gaya

rah-e-ulfat mein hai marna zindagi
dard manzil tak mujhe pahuncha gaya

mausam-e-gul bhi hai aaankhon mein KHizan
dil hi kya baiTha chaman murjha gaya

wo hue kya aankh se 'arif' nihan
sari duniya mein andhera chha gaya