bahe sath ashk ke laKHt-e-jigar tak
na ki us ne meri jaanib nazar tak
abas sayyaad ko hai bad-gumani
nahin bazu mein apne ek par tak
KHabar aai mariz-e-dard-o-gham ki
kahin pahunche KHabar us be-KHabar tak
nazakat se lagi bal karne kya kya
abhi gesu na pahunche the kamar tak
jiye jate hain shakl-e-sham-e-sozan
na kuchh baqi rahenge hum sahar tak
agar main yaad hota to na aate
magar bhule se aae mere ghar tak
dam-e-girya thi ghaalib na-tawani
pahunchte laKHt-e-dil kya chashm-e-tar tak
KHuda jaane 'asar' ko kya hua hai
raha karta hai chup do do pahar tak
Ghazal
Bahe sath ashk ke laKHt-e-jigar tak
Imdad Imam Asar