ba-har-lamha pighalta ja raha hun
nae sanche mein Dhalta ja raha hun
meri manzil mere pesh-e-nazar hai
magar raste badalta ja raha hun
mere ashaar mera aaina hai
main apna fan ugalta ja raha hun
koi surat nikalo zindagi ki
ki ab gham se bahalta ja raha hun
safar to zindagi ki shart Thahra
na chalne par bhi chalta ja raha hun
sahaara de rahi hain laghzishen ab
ki 'jami' main sambhalta ja raha hun
Ghazal
Ba-har-lamha pighalta ja raha hun
Syed Meraj Jami