bahaunga na main aansu na muskuraunga
KHamosh rah ke saliqe se gham manaunga
karunga kaam wahi jo diya gaya hai mujhe
mein KHwab dekhunga aur KHwab hi dikhaunga
adhuri baat bhi puri samajhni hogi tumhein
main kuchh bataunga aur kuchh nahin bataunga
main aaj tak nahin mana hun teri duniya ko
tu man jae to main us ko man jaunga
isi sawal ne sone nahin diya shab bhar
tu mujh se puchhega kya aur main kya bataunga
teri kahani mein rakkhunga KHud ko kuchh aise
main dastan mein nai dastan banaunga
ye maslahat hai meri buz-dili nahin 'taimur'
jahan zaruri hua hausla dikhaunga
Ghazal
Bahaunga na main aansu na muskuraunga
Taimur Hasan