اردو हिंदी
Bahaaron se KHizan tak yunhi sair-e-gulistan kar ke | Shaahi Shayari
bahaaron se KHizan tak yunhi sair-e-gulistan kar ke

Ghazal

Bahaaron se KHizan tak yunhi sair-e-gulistan kar ke

Ajiz Matvi

;

bahaaron se KHizan tak yunhi sair-e-gulistan kar ke
rafu karte rahe hum jeb-o-dastan dhajjiyan kar ke

milega kya tujhe sayyaad mujh ko be-zaban kar ke
sukun-e-qalb milta hai mujhe aah-o-fughan kar ke

chaman ko raushni di nazr-e-atish aashiyan kar ke
kiya ye tajraba hum ne ghar apna raegan kar ke

haqiqat mein karam tum ne kiya hai haq-shanason par
har ek ko waqif-e-rasm-e-jabin-o-astan kar ke

uTha pae na hum lutf-e-bahaaran mausam-e-gul mein
kahan gum ho gai parwaz qaid-e-ashiyan kar ke

ab aisi zindagi se maut aa jati to behtar tha
hui tazhik apni dastan-e-dil bayan kar ke

agar tafsil se kahta to wo shayad samajh jate
main ab pachhta raha hun iKHtisar-e-dastan kar ke

bhaTakte rahte yunhi aur na pate umr-bhar manzil
baDa ehsan kiya tum ne sharik-e-karwan kar ke

samajh mein aa gai un ki KHas-o-KHashak ki azmat
gai hain bijliyan aaKHir tawaf-e-ashiyan kar ke

zahe mashq-e-tasawwur hum unhen dekha hi karte hain
chhupen chahe jahan wo parda-ha-e-darmiyan kar ke

samundar phir hilore lega tahzib-o-tamaddun ka
zara dekho to 'ajiz' shamil-e-urdu-zaban kar ke