bahaaron ko chaman yaad aa gaya hai
mujhe wo gul-badan yaad aa gaya hai
lachakti shaKH ne jab sar uThaya
kisi ka bankpan yaad aa gaya hai
meri KHamoshiyon par hansne walo
mujhe wo kam-suKHan yaad aa gaya hai
tumhein mil kar to ai yazdan-parasto
ghurur-e-ahraman yaad aa gaya hai
teri surat ko jab dekha hai main ne
uruj-e-fikr-o-fan yaad aa gaya hai
kisi ka KHub-surat sher sun kar
tera lutf-e-suKHan yaad aa gaya hai
mile wo ajnabi ban kar to 'rifat'
zamane ka chalan yaad aa gaya hai
Ghazal
Bahaaron ko chaman yaad aa gaya hai
Rifat Sultan