bahaar ka rup bhi nigahon mein ek fareb-e-bahaar sa hai
hayat mein dilkashi nahin hai hayat mein intishaar sa hai
zamana kya dekhiye dikhae na jaane kya inqalab aae
falak ke tewar mein KHashmagin se zamin ke dil mein ghubar sa hai
kamal-e-diwangi to jab hai rahe na ehsas-e-jaib-o-daman
agar hai ehsas-e-jaib-o-daman to phir junun hoshiyar sa hai
kuchh aaj aisi hi ji pe guzri dabi hui thi jo choT ubhri
jise sambhaale hua tha dil mein wo nala be-iKHtiyar sa hai
abhi umid-o-wafa na toDo siyasat-e-dilbari na chhoDo
kabhi jo firdaus-e-rang-o-bu tha wo ek ujDa dayar sa hai
'nihaal' ko be piye hai masti hai muft ilzam-e-mai-parasti
hai aam is shahr mein riwayat ye shaKHs kuchh baada-KHwar sa hai
Ghazal
Bahaar ka rup bhi nigahon mein ek fareb-e-bahaar sa hai
Nihal Sevharvi