اردو हिंदी
Bahaar-e-zaKHm-e-lab-e-atishin hui mujhse | Shaahi Shayari
bahaar-e-zaKHm-e-lab-e-atishin hui mujhse

Ghazal

Bahaar-e-zaKHm-e-lab-e-atishin hui mujhse

Aatif Kamal Rana

;

bahaar-e-zaKHm-e-lab-e-atishin hui mujh se
kahani aur asar-afrin hui mujh se

main ek sitara uchhaala to nur phail gaya
shab-e-firaq yunhi dil-nashin hui mujh se

gulab tha ki mahakne laga mujhe chhu kar
kalai thi ki bahut marmarin hui mujh se

baghal se sanp nikale to ho gaya badnam
KHarab achchhi tarah aastin hui mujh se

kahan se aai hai KHushbu mujhe bhi hairat hai
ye raat kaise gul-e-asmin hui mujh se

main apne phul khilae hain us ki jhaDi par
qaba-e-yar bahut reshmin hui mujh se

bas ek bosa diya tha kisi ke mathe par
tamam-shahr ki raushan jabin hui mujh se

ghazal suni to bahut dil se KHush hua 'atif'
magar ghazal ki sataish nahin hui mujh se