اردو हिंदी
Bahaar-e-gulshan-e-ayyam hun main | Shaahi Shayari
bahaar-e-gulshan-e-ayyam hun main

Ghazal

Bahaar-e-gulshan-e-ayyam hun main

Meer Mohammadi Bedar

;

bahaar-e-gulshan-e-ayyam hun main
sahar nur o sawad-e-sham hun main

shitab aa ai mah-e-isa-nafas tu
ki KHurshid-e-kanar-e-baam hun main

agar manzur hai aana to jald aa
ki tujh bin saKHt be-aram hun main

bajae mai teri duri mein ai gul
ba-rang-e-lala KHun-asham hun main

muhibb-o-muKHlis o fidwi hun tera
samajh tu laeq-e-dushnam hun main

tujhe dekh aap mein rahta nahin main
gharaz tujh wasl se nakaam hun main

bahaar aai chaman mein go mujhe kya
giraftar o asir-e-dam hun main

nishan apna kahin paya nahin yan
faqat anqa-sifat yak nam hun main

na paigham o salam o ne mulaqat
abas tujh ishq mein bad-nam hun main

na hun parwana-e-har-shama 'bedar'
fida-e-sarw-e-gul-andam hun main