bahaar-e-gul se ab daur-e-KHizan tak
kahan se baat aa pahunchi kahan tak
kahan jaenge ab aaKHir yahan se
jo aa pahunche tumhaare aastan tak
Dubo dega hamein KHud naKHuda hi
na tha is ka kabhi wahm-o-guman tak
rafu-gar aa ke bhi ab kya siyega
nahin daman ki baqi dhajjiyan tak
ghazab hai jal gaya dil ka nasheman
nahin uTTha magar is se dhuan tak
pata dete hain kis ki azmaton ka
mah-o-anjum se rah-e-kahkashan tak
tera 'jaanbaz' ho kar Dagmagae
bhala dar-o-rasan ke imtihan tak
Ghazal
Bahaar-e-gul se ab daur-e-KHizan tak
Satyapal Janbaz