bahaar ban ke KHizan ko na yun dilasa de
nigahen pher le apni na KHud ko dhoka de
masaf-e-zist hai bhar de lahu se jam mera
na muskura ke mujhe saghar-e-tamanna de
khaDa hua hun sar-e-rah muntazir kab se
ki koi guzre to gham ka ye bojh uThwa de
wo aankh thi ki badan ko jhulas gai qurbat
magar wo shola nahin ruh ko jo garma de
hujum-e-gham wo raha umr bhar dar-e-dil par
KHushi isi mein rahi ye hujum-e-rasta de
likha hai kya mere chehre pe tu jo sharmaya
zaban se na bata aaina hi dikhla de
main laDkhaDa sa gaya hun wafa ke wade par
pakaD ke hath mujhe ghar talak to pahuncha de
sukut-e-anjum-o-mah ne chhupa liya hai jise
jhuki nazar na kisi ko wo raaz batla de
har ek dard ka darman hai log kahte hain
magar wo dard 'naimi' jo KHud masiha de
Ghazal
Bahaar ban ke KHizan ko na yun dilasa de
Abdul Hafiz Naeemi