bahaar ban ke jab se wo mere jahan pe chhae hain
tajalliyon ki chandni hai maktabon ke sae hain
Thahar Thahar ke KHush-gawar inqalab aae hain
sambhal sambhal ke wo mere junun pe muskurae hain
hazar ehtiyat ki hai lakh gham chhupae hain
magar taDap uTha hai dil wo jab bhi yaad aae hain
samajh samajh ke barha ye ban pare ki baat hai
fareb in ki mehrbaniyon ke hum ne khae hain
sahar sahar mahak uThi chaman chaman sanwar gaya
bahaar muskurai hai ki aap muskurae hain
jo dil saja chuke the KHud-parastiyon ki anjuman
hum un mein jazba-e-gham-e-jahan ubhaar aae hain
naqab ruKH se jab uThi bikhar gain tajalliyan
latif bijliyan giri hain jab wo muskurae hain
dayar-e-tegh-o-dar ke jamal ko nikhaar ke
hum apne KHun se maqtal-e-wafa sanwar aae hain
kabhi libas-e-nazm mein kabhi ghazal ke rup mein
jo waqt ki pukar the wo git hum ne gae hain
'nihaal' kaenat mein hamein to ye yaqin hai
ab aadmi nahin raha hai aadmi ke sae hain
Ghazal
Bahaar ban ke jab se wo mere jahan pe chhae hain
Nihal Rizvi