bahaar aati hai lekin sar mein wo sauda nahin hota
har aahaT par teri aawaz ka dhoka nahin hota
tera gham ho to aa jae saliqa muskurane ka
ki har aazar-e-jaan shaista-e-duniya nahin hota
nishan kunj-e-tarab ka kohsar-e-gham se milta hai
bhaTak jata hun main jab rah mein dariya nahin hota
yahi surat to har-su kucha-o-bazar mein bhi hai
jahan wahshat barasti ho wahin sahra nahin hota
ek aaina bahar-surat pas-e-aina hota hai
jo chamke aabgine mein wahi chehra nahin hota
use ye KHushnuma duniya kabhi achchhi nahin lagti
kisi masraf ka kar-e-dida-e-bina nahin hota
bahana tujh se milne ka ye tanhai ne DhunDa hai
sar-e-mahfil kisi ko did ka yara nahin hota
jo di hain neamaten yarab to phir haqq-e-tasarruf de
nazar apni dimagh apna hai dil apna nahin hota
zara kuchh shaghl-e-neko-kar bhi 'sayyad-amin-ashraf'
faqat nam-o-nasab se aadmi achchha nahin hota
Ghazal
Bahaar aati hai lekin sar mein wo sauda nahin hota
Syed Amin Ashraf