bahaar aane ki ummid ke KHumar mein tha
KHizan ke daur mein bhi mausam-e-bahaar mein tha
jise sunane gaya tha main zindagi ki nawid
wo shaKHs aaKHiri hichki ke intizar mein tha
sipah-e-aql-o-KHirad mujh pe hamla-awar thi
magar main ishq ke mazbut-tar hisar mein tha
mera nasib chamakta bhi kis tarah aaKHir
mera sitara kisi dusre madar mein tha
uTha ke hath dua mangna hi baqi hai
wagarna kar chuka sab kuchh jo iKHtiyar mein tha
use to is liye chhoDa tha wo nihatta hai
KHabar na thi ki wo mauqe ke intizar mein tha
wo kah raha tha mujhe naz apne ijz pe hai
ajab tarah ka ghurur us ke inkisar mein tha
Ghazal
Bahaar aane ki ummid ke KHumar mein tha
Taimur Hasan