bahaar aai kisi ka samna karne ka waqt aaya
sambhal ai dil ki izhaar-e-wafa karne ka waqt aaya
unhen aamada-e-mehr-o-wafa karne ka waqt aaya
baDi muddat mein arz-e-muddaa karne ka waqt aaya
rawan hain apne markaz ki taraf aasuda ummiden
hujum-e-yas ko dil se juda karne ka waqt aaya
phir ek gum-karda-rah-e-zindagi ko mil gai manzil
sujud-e-shukr-e-be-payan ada karne ka waqt aaya
kabhi duri thi lekin ab KHayal-e-KHauf-e-duri hai
fughan ki saaten guzrin dua karne ka waqt aaya
kahan tak KHatm rahta darmiyan par dil ka afsana
bil-aKHir darmiyan se ibtida karne ka waqt aaya
har ek jurm-e-mohabbat us nigah-e-lutf ke sadqe
nawed-e-afiyat le kar KHata karne ka waqt aaya
nigah o dil se ab tafsir-o-sharh-e-azru hogi
zaban o lab se tark-e-iltija karne ka waqt aaya
wo aate hain 'shakil' ab apne dil se hath dho baiTho
nigah-e-naz ki qimat ada karne ka waqt aaya
Ghazal
Bahaar aai kisi ka samna karne ka waqt aaya
Shakeel Badayuni