اردو हिंदी
Bahaar aai kar ai baghban gulab qalam | Shaahi Shayari
bahaar aai kar ai baghban gulab qalam

Ghazal

Bahaar aai kar ai baghban gulab qalam

Peer Sher Mohammad Ajiz

;

bahaar aai kar ai baghban gulab qalam
ki likkhe wasf-e-ruKH-e-yar ki kitab qalam

na khinche chehra-e-pur-nur par naqab qalam
kare na kaghaz-e-taswir ko KHarab qalam

jo qasd ho ruKH-e-raushan ke wasf likhne ka
falak se le waraq-e-mah-o-aftab qalam

hikayat-e-dil-e-be-tab tul rakhti hai
na kar tu likhne mein itna bhi iztirab qalam

bayan-e-zulf-e-chalipa mein qita likh likh kar
dikhae KHatt-e-shikasta ka pech-o-tab qalam

hubab se bhi bahut kam hai zist ka waqfa
hadis-e-kashti-e-mai mein chale shitab qalam

likhe na aatish-e-mai ki hikayaten aage
jigar na baada-kashon ke kare kabab qalam

shabih khinga ek gul ke qadd-e-mauzun ki
likhega misra-e-shamshad ka jawab qalam

hikayat-e-shab-e-hijran likho na ai 'ajiz'
hamari jaan-e-hazin ka na ho azab qalam