bahaar aai junun lega hamara imtihan dekhen
namak dega dil-e-zaKHmi ko shor-e-bulbulan dekhen
siya hai zaKHm-e-bulbul gul ne KHar aur bu-e-gulshan se
sui taga hamare chaak-e-dil ka hai kahan dekhen
hamein dil-sozi hamesha yahan tak din o iman hai
ki ji jalta hai jab hum bulbul-e-fasl-e-KHizan dekhen
guzar jati hai dil se tir ho kar yaad us qad ki
jahan ham-dosh-e-ashiq hum koi abru-kaman dekhen
huma se bach ke mujh majnun ko daulat ishq ki ho jo
sag-e-laila ki qismat honge mere ustuKHan dekhen
chala hun 'uzlat' ab sahra bagule ki ziyarat ko
milega tauf ko majnun ka barbaad aastan dekhen
Ghazal
Bahaar aai junun lega hamara imtihan dekhen
Wali Uzlat