bahaar aai hai phir jhum kar sahab uTha
kahan hai mutrib-e-rangin-nawa rabab uTha
jawaz mai ka muKHalif agar hai ai waiz
kahan likha hai dikha la uTha kitab uTha
faza mein khol diye hain ghaTaon ne gesu
nahin hai jam na ho shisha-e-sharab uTha
har ek phul mein raqsan hai kaenat-e-jamal
bahaar aai ki hai ek mahshar-e-shabab uTha
kahan ke dair-o-haram justaju-e-jalwa-gar
yahi naqab hai aankhon se ye naqab uTha
nasim-e-subh se shaKHen milin to main samjha
ki husn-e-alam tifli mein nim-KHwab uTha
libas-e-mah mein 'ehsan' dekh kaun aaya
nigah-e-su-e-falak KHanuman-KHarab uTha
Ghazal
Bahaar aai hai phir jhum kar sahab uTha
Ehsan Danish