bahaar aai hai phir chaman mein nasim iThla ke chal rahi hai
har ek ghuncha chaTak raha hai gulon ki rangat badal rahi hai
wo aa gae lo wo ji uTha main adu ki ummid-e-yas Thahri
ajab tamasha hai dil-lagi hai qaza khaDi hath mal rahi hai
batao dil dun na dun kaho to ajib nazuk moamla hai
idhar to dekho nazar milao ye kis ki shoKHi machal rahi hai
taDap raha hun yahan main tanha wahan adu se wo ham-baghal hain
kisi ke dam par bani hui hai kisi ki hasrat nikal rahi hai
ghaTa wo chhai wo abr uTTha yahi to hai waqt mai-kashi ka
bulao 'shair' ko hai kahan wo sharab shishe se Dhal rahi hai
Ghazal
Bahaar aai hai phir chaman mein nasim iThla ke chal rahi hai
Agha Shayar Qazalbash