اردو हिंदी
Bahaar aai hai kya kya chaak jaib-e-pairahan karte | Shaahi Shayari
bahaar aai hai kya kya chaak jaib-e-pairahan karte

Ghazal

Bahaar aai hai kya kya chaak jaib-e-pairahan karte

Yaqeen Inamullah Khan

;

bahaar aai hai kya kya chaak jaib-e-pairahan karte
jo hum bhi chhuT jate ab to kya diwana-pan karte

tasawwur us dahan-e-tang ka ruKHsat nahin deta
jo Tuk dam mar sakte hum to kuchh fikr-e-suKHan karte

nahin jun panja-e-gul kuchh bhi in hathon mein girai
wagarna ye gareban nazr-e-KHuban-e-chaman karte

musafir ho ke aae hain jahan mein tis pe wahshat hai
qayamat thi agar hum is KHaraba mein watan karte

koi farhad jaise be-zaban ko qatl karta hai
'yaqin' hum wan agar hote to ik-do bachan karte