اردو हिंदी
Bahaar aai gul-afshaniyon ke din aae | Shaahi Shayari
bahaar aai gul-afshaniyon ke din aae

Ghazal

Bahaar aai gul-afshaniyon ke din aae

Taban Ghulam Rabbani

;

bahaar aai gul-afshaniyon ke din aae
uThao saz ghazal-KHwaniyon ke din aae

nigah-e-shauq ki gustaKHiyon ka daur aaya
dil-e-KHarab ki nadaniyon ke din aae

nigah-e-husn KHaridariyon pe mail hai
mata-e-shauq ki arzaniyon ke din aae

mizaj-e-aql ki na-saziyon ka mausam hai
junun ki silsila-jambaniyon ke din aae

saron ne dawat-e-ashuftagi ka qasd kiya
dilon mein dard ki mehmaniyon ke din aae

charagh-e-lala-o-gul ki Tapak paDi hain lawen
chaman mein phir sharer-afshaniyon ke din aae

bahaar bais-e-jamiyat-e-chaman na hui
shamim-e-gul ki pareshaniyon ke din aae

udhar chaman mein zar-e-gul luTa idhar 'taban'
hamari be-sar-o-samaniyon ke din aae