اردو हिंदी
Bahaar aai gul-afshani ke din hain | Shaahi Shayari
bahaar aai gul-afshani ke din hain

Ghazal

Bahaar aai gul-afshani ke din hain

Fazl Ahmad kariim Fazli

;

bahaar aai gul-afshani ke din hain
hamari tang-damani ke din hain

anadil ki ghazal-KHwani ke din hain
gulon ki chaak-damani ke din hain

jidhar dekho khile hain lala-o-gul
ye KHun-e-dil ki arzani ke din hain

hua daman-e-gul daman-e-yusuf
nazar ki pak-damani ke din hain

subuk-rau hai nasim-e-ruh-parwar
magar phir bhi giran-jaani ke din hain

dil-e-pur-dard umDa aa raha hai
ye bahr-e-gham mein tughyani ke din hain

yahi din ma-hasal hain zindagi ke
yahi jo dil ki nadani ke din hain

jamal-e-zindagi ki KHair yarab
kamal-e-aql-e-insani ke din hain

ghazal pakiza hai fazli abhi tak
ye din har-chand uryani ke din hain