bahaar aai ba-tang aaya dil-e-wahshat-panah apna
karun kya hai yahi chaak-e-gareban dastgah apna
Tapakti jo tarah sumbul se howe pai-ba-pai shabnam
hamare haal par rone laga ab dud-e-ah apna
mera dil lete hi kar chashm-poshi mujh se munh phera
nazar aata nahin kuchh mujh ko dilbar se nibah apna
sitam se di tasalli us kaman-abru ke qurban hun
rag-e-jaan kar diya dil ko mere tir-e-nigah apna
tu harjai na ho ghaT jaega jun zar ayaron mein
ye 'uzlat' banda apna fidwi apna KHair-KHwah apna
Ghazal
Bahaar aai ba-tang aaya dil-e-wahshat-panah apna
Wali Uzlat