اردو हिंदी
Bahaar aaegi gulshan mein to dar-o-gir bhi hogi | Shaahi Shayari
bahaar aaegi gulshan mein to dar-o-gir bhi hogi

Ghazal

Bahaar aaegi gulshan mein to dar-o-gir bhi hogi

Afsar Mahpuri

;

bahaar aaegi gulshan mein to dar-o-gir bhi hogi
jahan ahl-e-junun honge wahan zanjir bhi hogi

isi ummid par hum gamzan hain rah-e-manzil mein
yahan zulmat sahi aage kahin tanwir bhi hogi

agar rahna hai gulshan mein to apne aashiyane ki
kabhi taKHrib bhi hogi kabhi tamir bhi hogi

yahi to soch kar hum un ki mahfil se chale aae
hamari KHamushi ki kuchh na kuchh tafsir bhi hogi

ye hum bhi jaante hain zindagi ek KHwab hai 'afsar'
magar is KHwab ki aaKHir koi tabir bhi hogi