bahaar aadhi guzar gai hae hum qaidi hain zindan ke
gae kuchh aur kuchh jate hain din chaak-e-gareban ke
hazaron KHub-ru gae KHak mein gardish se dauran ke
jhalakte rang mein dekho muqayyash reze afshan ke
gaya to dard-e-sar par hasrat-e-zaKHm-e-doyam rah gai
wagarna hum teri shamshir ke mare hain ehsan ke
mera lohu bhi baad-az-marg qatil ke tasadduq hai
sanjaf-e-surKH mat samjhe koi gird is ke daman ke
hua hai dagh be-qadri se un ki musht-KHun mera
paDe koele hi kab mehndi mein dast-o-pa-e-KHuban ke
junun se KHak ho gae par bhi aashiq hat malte hain
bagule sare mein aTkal kiya 'uzlat' bayaban ke
Ghazal
Bahaar aadhi guzar gai hae hum qaidi hain zindan ke
Wali Uzlat