bahana DhunDte rahte hain koi rone ka
hamein ye shauq hai kya aastin bhigone ka
agar palak pe hai moti to ye nahin kafi
hunar bhi chahiye alfaz mein pirone ka
jo fasl KHwab ki tayyar hai to ye jaano
ki waqt aa gaya phir dard koi bone ka
ye zindagi bhi ajab karobar hai ki mujhe
KHushi hai pane ki koi na ranj khone ka
hai pash pash magar phir bhi muskuraata hai
wo chehra jaise ho TuTe hue khilaune ka
Ghazal
Bahana DhunDte rahte hain koi rone ka
Javed Akhtar