bahae shabnam ne ashk paiham nasim bharti hai sard aahen
na saut-e-bulbul mein hai tarannum har ek naghme ka tar badla
na rind ko lutf-e-mai-kashi hai na zahidon ko namaz ki dhun
azab badla sawab badla sharab badli KHumar badla
chaman ki dilchaspiyan kahan hain na chahchahe hain na qahqahe hain
qadam jamae hain kya KHizan ne ki aaj rang-e-bahaar badla
Ghazal
Bahae shabnam ne ashk paiham nasim bharti hai sard aahen
Anisa Begum