اردو हिंदी
Bahaduri jo nahin hai to buzdili bhi nahin | Shaahi Shayari
bahaduri jo nahin hai to buzdili bhi nahin

Ghazal

Bahaduri jo nahin hai to buzdili bhi nahin

Fakhr Zaman

;

bahaduri jo nahin hai to buzdili bhi nahin
bahut hi chaha magar hum se KHud-kushi na hui

kuchh is tarah se KHayalon ne raushni baKHshi
tumhaari zulf bhi bikhri to tirgi na hui

kisi ke dard ko tum jaante bhala kyunkar
KHud apne dard se jab tum ko aagahi na hui

wo tirgi thi musallat faza-e-alam par
lahu ke dip jale phir bhi raushni na hui

main ji raha hun dil-e-murda le ke sine mein
ise to maut kaho ye to zindagi na hui