اردو हिंदी
Baha kar KHun mera mujhse bole | Shaahi Shayari
baha kar KHun mera mujhse bole

Ghazal

Baha kar KHun mera mujhse bole

Jaleel Manikpuri

;

baha kar KHun mera mujh se bole
ki le jine se apne hath dho le

jo dil paya hai to chaar ashk ro le
zamin achchhi mili hai bij bole

sada apni hai bazar-e-junun mein
dil apna muft ka sauda hai jo le

wo jate hain akele mere ghar se
nikal kar jaan tu hi sath ho le

khulegi zulf se KHud dil ki chori
wo jadu kya na jo sar chaDh ke bole

tujhe hai iKHtiyar aana na aana
dil-e-muztar ka kahna man to le

ajal boli ye turbat mein liTa kar
bahut jaga hai ab ji bhar ke so le

ghaTaen jhumti hain mai-kade par
ki pariyan uD rahi hain baal khole

kisi ko de diya dil muft apna
'jalil' aise hi to hain aap bhole