bagulon ki safen kirnon ke lashkar samne aae
qadam uTThe jidhar zaKHmon ke patthar samne aae
thakan se TuT kar jab KHwab-e-rahat ki tamanna ki
rida-e-gham liye kanTon ke bistar samne aae
darida baadban kamzor kashti raat tufani
dahan khole syahi ke samundar samne aae
talash-e-ab-e-haiwan mein jahan mere qadam pahunche
wahan zahrab se labrez saghar samne aae
gharib-e-shahr kis ke aastane par sada deta
kai ghar rah mein dekhe kai dar samne aae
mere KHuddar lab par jab kabhi lafz-e-ana aaya
meri qimat lagane kisa-e-zar samne aae
mizaj aisa hai kuchh 'mahir' murawwat aa hi jati hai
koi shatir agar masum ban kar samne aae
Ghazal
Bagulon ki safen kirnon ke lashkar samne aae
Iqbal Mahir