baghal mein hum ne raat ek ghairat-e-mahtab dekha hai
tumhin is KHwab ki tabir ho kya KHwab dekha hai
taDap bijli ki bhi dekhi hai wo dil tham lete hain
teri be-tabiyon ko bhi dil-e-betab dekha hai
wo ulfat dost hon naseh dua hi dil se nikli hai
agar dushman ke ghar bhi majma-e-ahbab dekha hai
KHuda ke samne ai mohtasib sach bolna hoga
mere saghar mein mai dekhi hai ya KHun-nab dekha hai
'mubarak' iztirab-e-shauq ka aalam nahin chhupta
ki jab dekha hai hum ne aap ko betab dekha hai
Ghazal
Baghal mein humne raat ek ghairat-e-mahtab dekha hai
Mubarak Azimabadi