baghair yar gawara nahin kabab sharab
gazak hai dagh mujhe aur KHun-e-nab sharab
agar hai shauq-e-tahaarat sharab pi zahid
tere najasat-e-qalbi ko hogi aab sharab
dimagh ahl-e-KHarabaat ke moattar hain
kabab nafa-e-mushk-e-KHutan gulab sharab
piyun najat samajh ke jo ishq-e-saqi hai
darud paDh ke tapaun pae sawab sharab
baghair sukr hua hai ye aalam-e-sakraat
hamare munh mein chuwaw ba-jae aab sharab
chaman pe jhum raha hai siyah masti mein
ajab bahaar hai barsae jo sahab sharab
shab-e-visal hai anjum khilaen naql mujhe
pilae apne piyale mein mahtab sharab
bahut mazammat-e-mai-KHwar likh raha hai shaiKH
KHuda kare ki bane jadwal-e-kitab sharab
chale bahaar ke ayyam saqi-e-gul-ru
mera shabab hai mehman la shitab sharab
koi gazak gazak-e-husn se nahin aala
sharabon mein hai mai-e-ishq intiKHab sharab
hai nur-e-nashsha ziya-baKHsh dida-e-irfan
dur-e-yagana-e-dil ki hai aab-o-tab sharab
KHuda ke ghar mein wo barra raha hai ai rindo
jagao shaiKH ko chiDko ba-ru-e-KHwab sharab
na dekhe bughz se manind-e-shapparak zahid
hai apne nur se ham-jam-e-aftab sharab
nashat-o-aish jahan par na 'bahr' lahrana
ki bagh-e-sabz-e-gulistan hai sarab sharab
Ghazal
Baghair yar gawara nahin kabab sharab
Imdad Ali Bahr