baghair naqshe ke sare makan lagte hain 
ye jitne ghar hain qaza ki dukan lagte hain 
kabhi to sach kabhi bilkul guman lagte hain 
nafis log hain jadu-bayan lagte hain 
ye Thekedar imarat ke ye zamin wale 
gire jo ghar to bahut be-zaban lagte hain 
main un mein aaj bhi bachpan talash karta hun 
main KHush nahin hun jo bachche jawan lagte hain 
wo mera bhai nahin par wo koi war sahe 
meri bhi piTh par nile nishan lagte hain 
qarib aaen to chhoTa sa qad nikalte hain 
ye log dur se kitne mahan lagte hain
        Ghazal
Baghair naqshe ke sare makan lagte hain
Fay Seen Ejaz

