'badr' yun to sabhi se milta hai
be-gharaz kab kisi se milta hai
KHud ko gum kar ke DhunDiye us ko
ye guhar be-KHudi se milta hai
wo koi ho kahin bhi ho lekin
hu-ba-hu aap hi se milta hai
jaan bhi sath chhoD deti hai
ye sabaq zindagi se milta hai
chhanw mein zulf ke dhanak ke rang
saya yun raushni se milta hai
aastan khinch ke KHud chala aae
ye sharaf bandagi se milta hai
Ghazal
Badr yun to sabhi se milta hai
Sabir Badr jaafrii