badnam hun par aashiq-e-badnam tumhaara
nakaam hun par talib-e-nakaam tumhaara
main is ko na bechun ewaz-e-mulk-e-sulaiman
hai sabt sar-e-KHatim-e-dil nam tumhaara
yan saghar-e-dil KHun-e-tamanna se bhara hai
par baada-e-gulgun se wahan jam tumhaara
mahrumi-e-qismat hai meri KHas wagarna
mashhur-e-jahan hai karam-e-am tumhaara
jachte nahin nazron mein mah-o-mehr ke jalwe
rahta hai tasawwur sahar-o-sham tumhaara
tum jis se phiro us se ho bargashta zamana
dam bharne lagi gardish-e-ayyam tumhaara
ghaflat mein kaTi jati hai 'mahrum' jawani
achchha nazar aata nahin anjam tumhaara
Ghazal
Badnam hun par aashiq-e-badnam tumhaara
Tilok Chand Mahroom