badli hui hai charKH ki raftar aaj-kal
ho band rast-goi ka bazar aaj-kal
ilm-o-hunar hai mulk ko darkar aaj-kal
hum KHud bhale-bure ke hain muKHtar aaj-kal
hai aur hi tariqa-e-bazar aaj-kal
jins-e-nafis ke hain KHaridar aaj-kal
ghaflat ka daur mulk se shayad guzar gaya
maKHluq hoti jati hai bedar aaj-kal
gul-guna-e-taraqqi-e-tahzib-o-alam se
shukr-e-KHuda ki surKH hain ruKHsar aaj-kal
kyun jaante hain sanat-o-hirfat ko bagh-e-KHuld
ghairon ki hum nigah mein hain KHar aaj-kal
raushan hai apni be-hunari aaftab se
hai subh ke qarib shab-e-tar aaj-kal
bigDi hui hai mai-kada-e-dahr ki hawa
ho jaen shaiKH-ji bhi na mai-KHwar aaj-kal
kya kaam in safed chuDailon ka hind mein
kyun aisi shadiyon ki hai bhar-mar aaj-kal
har chiz ki girani ne viran kar diya
sarf-e-KHizan hai hind ka gulzar aaj-kal
is bagh mein hai baad-e-KHizan o baad-e-qaht
har gul ke dil mein hai KHalish-e-KHar aaj-kal
bhule hain apne farz ko ye KHwajgan-e-hind
haq dene mein bhi karte hain inkar aaj-kal
shukr-e-KHuda ki zulm se mazur hai falak
bartaniya hai KHalq ki gham-KHwar aaj-kal
yarab hamare dil ko tu apni panah de
dildar ho gae hain dil-azar aaj-kal
maKHsus ho chuki hain iradi ghulamiyan
hai ek anar saikDon bimar aaj-kal
ek ek kar ke jitne hunar the wo chhin gae
hum zindagi se kyun na hon bezar aaj-kal
ek jurm aur fard-e-jaraem mein baDh gaya
yani na dard-e-dil ka ho izhaar aaj-kal
jine ki fikr kijiye aur peT ka KHayal
mauquf kije ishq ka aazar aaj-kal
pabandiyan bhi chahiyen insan ko zarur
aazadiyon ki kyun hai ye bhar-mar aaj-kal
milta nahin kahin dahan-e-yar hai anaj
faqon se jism hai kamar-e-yar aaj-kal
hai tang-dastiyon ke sabab zoaf is qadar
sab ki hain aankhen nargis-e-bimar aaj-kal
lakhon muhaal aqli o aadi sahi magar
kasb-e-maash sab se hai dushwar aaj-kal
kya kije tar niwalon ka mausam nahin raha
chipke hue hain yar ke ruKHsar aaj-kal
faqon se hai ye haal agar tol kar biThaen
aadhe ticket mein jae tan-e-zar aaj-kal
gul kar diya charagh-e-maishat tu ai hawa
meada ke bhi na ghis gae kyun KHar aaj-kal
chaaron taraf buland hai fariyaad hae hae
matam-kada hai qahqah-e-diwar aaj-kal
daulat jab aaegi ki wahi chiz hum banaen
jo chiz chahte hon KHaridar aaj-kal
behtar hai kar-KHanon se ho mulk ka bhala
ugalen gaDe KHazanon ko zardar aaj-kal
sanat ka nam ganj hai hirfat ka nam zar
ilm-e-shikam hai mulk ko darkar aaj-kal
'parwin' ki ye dua hai rahe amn mulk mein
rabb-e-ghafur tu hi hai gham-KHwar aaj-kal
Ghazal
Badli hui hai charKH ki raftar aaj-kal
Parveen Umm-e-Mushtaq