اردو हिंदी
Badli hui duniya ki nazar dekh rahe hain | Shaahi Shayari
badli hui duniya ki nazar dekh rahe hain

Ghazal

Badli hui duniya ki nazar dekh rahe hain

Arjumand Bano Afshan

;

badli hui duniya ki nazar dekh rahe hain
phalta hua nafrat ka shajar dekh rahe hain

basti ke sulagte hue ghar dekh rahe hain
dil-doz manazir hain magar dekh rahe hain

wo kar bhi chuke ghair se iqrar-e-mohabbat
hum baiThe duaon mein asar dekh rahe hain

hoti hai har ek phul se gulzar ki zinat
nadan hain jo nasl-e-shajar dekh rahe hain

ek rose na jal jae kahin un ka nasheman
jo dur khaDe raqs-e-sharar dekh rahe hain

manzil ki jinhen dhun thi unhen mil gai manzil
jo baiTh rahe gard-e-safar dekh rahe hain

'afshan' meri aankhon mein basi rahti hai har-dam
wo shakl jise ahl-e-nazar dekh rahe hain