badlega ruKH hawa kabhi to
khul jaega rasta kabhi to
ghaflat pe KHud apni chaunk uThega
sun kar wo meri sada kabhi to
ho jaega munkashif bhi KHud par
dekhega wo aaina kabhi to
kab tak ye ada-e-be-niyazi
TuTega ye silsila kabhi to
kholega wo mujh pe bab-e-rahmat
sun lega meri dua kabhi to
qaem hai umid par hi duniya
hal hoga ye masala kabhi to
kar dega zamin ka bojh halka
uThega gira hua kabhi to
baiTha hun main us ke raste par
ho jaega samna kabhi to
di hai dard-e-dil pe us ke dastak
tai hoga ye fasla kabhi to
Ghazal
Badlega ruKH hawa kabhi to
Arman Najmi