اردو हिंदी
Badla hua hai rang jahan mai-kashi ke baad | Shaahi Shayari
badla hua hai rang jahan mai-kashi ke baad

Ghazal

Badla hua hai rang jahan mai-kashi ke baad

Majeed Maiman

;

badla hua hai rang jahan mai-kashi ke baad
KHud se lagaw hone laga be-KHudi ke baad

tabinda mahfilon mein mujhe yun na rokiye
zulmat mein lauTna hai mujhe raushni ke baad

ya rab mujhe muhaal hai ranjida zindagi
le le meri hayat bhi meri KHushi ke baad

is se siwa bhi ishq mein kya aur paiye
har gham lage hai sahl gham-e-ashiqi ke baad