badla ye liya hasrat-e-izhaar se hum ne
aaghaz kiya apne hi inkar se hum ne
darwaza nahin apne sarokar mein shamil
hai rabta rakkha hua diwar se hum ne
imkan sa khola hua sahil ki hawa par
ummid si bandhi hui us par se hum ne
apni hi bigaDi hui surat ke alawa
kuchh aur nikala nahin tumar se hum ne
is ka bhi koi faeda pahuncha na kisi ko
aasan jo baramad kiya dushwar se hum ne
manzil jo hamari thi kahin rah gai pichhe
ye kaam liya tundi-e-raftar se hum ne
ye dhup hi thi apni guzargah so rakkha
ek fasla bhi saya-e-ashjar se hum ne
jaancha hai kisi aur tariqe se ye sab kuchh
parkha hai kisi apne hi mear se hum ne
us ki bhi ada ki hai 'zafar' aaj to qimat
jo chiz KHaridi nahin bazar se hum ne
Ghazal
Badla ye liya hasrat-e-izhaar se humne
Zafar Iqbal